Zahoor e Imam AlMahdi a.s nahi hua to Aulaad kaise aagayi?
Abban bin Taghlub ne kaha k Abaa Abdullah Imam Jafer AsSadiq alaihis salaam ne farmaaya :
Jab haq ka parcham zaahir hoga to mashriq o maghrib k log ussper lanath bhejenge tumhe pata hai kyun?
Maine poocha : nahi mujhey nahi pata.
Imam ne farmaaya: Kyun k log jo dekhenge uss k Ahlebait ko khurooj se pehle.
📗 Ghaibat An Numaani page 288-299.
Ek shaks uski nasl se uthega usse pehle mashriq se jo talwaar shaanoun per uthaaye rakhega 18 mahinoun tak.
📗 Ma Ba’ad Al Thohour page 408
Imam Ali ne farmaaya: Mashriq se (east se) ek shaks uthega Imam Mahdi se Pehle unke Ahlebait se
📗 Kanz ul amal sheikh AlKorani jild 7 page 261
Ye teen hadeesoun se saabith hai k mutawaatir rivaayatein iss maayene per moujood hai k Qabl-e-Zahoor-e-Mahdi Aap a.j.t.f k Ahal o ayaal saamne aayegi. Aur wo bhi haq k saath moujood hogi yahaan tak k log unke haq ko pasand nahi karenge aur unper laanath karenge nauzobillah nauzobillah nauzobillah.