Imam Al Mahdi a.s k baad to Rajath honay waali hai phir Mahdiyeen ko kaisa maanah jaayega?




Ye baat Shia Aqeeday mea tayy shuda baat hai k Rajath ki shuruaat Imam Hussain k lautne se hogi. 


Aur Imam Hussain uss Mahdi k liye lautenge jisko beta na hoga, aur 12th Imam AlMahdi alahis salaam ki nasl to her lehaaz se moujood hai.wo hamaare darmiyaan hai, unke baare mea kitaaboun mea likha hai, bihaarul anwaar mea nasl e Imam AlMahdi k baare mea likha hai aur An-Najm us saaqib mea bhi likha hai, aur mashoor riwaayat hai k Masjid e Sehla mea Imam AlMahdi alaihis salaam apne ahal o ayaal k saath rahenge. 


To wo Mahdi kaun hai jisse beta na hoga?




Wo 12th Imam nahi balke 12th Mahdi hai, jisse beta na hoga aur uss waqt Imam Hussain alaihis salaam lautenge. 




Neechay diye gaye hadees . 




Al hasan bin Ali al kharaz ne farmaya Ali bin abu Hamza abul hasan Ali AlRaza alaihis salaam k pass pohonchey aur kaha :


Kia aap Imam hai?


Imam a.s ne farmaya : haan 


Unhonay kaha : maine aap k dada Jafer ibn Muhammad a.s ko kehte sunah k koi Imam nahi lekin jissey beta ho.


Imam a.s ne kaha : O sheikh kia tum bhool gaye ya bhulne ka bahaana kar rahey ho balkey aesa nahi hai.


Phir Imam a.s ne kaha : k koi Imam nahi lekin ussey beta hoga siwaaye uss Imam k jiss k pass Hussain ibn Ali a.s pohonchayge aur ussey beta na hoga.


Unhoney kaha : Aap a.s sach farmaate hai mea aap per qurbaan, aap k dada ne bilkul aesa hee kaha 


๐Ÿ“— An-Najem al thaqib vol 2 page 73

๐Ÿ“— Al Ghaiba al toosi page 224




Masjid e Sehla mea Imam AlMahdi a.s apne bachoun k saath rahenge




Imam al sadiq a.s ne aba Muhammad se fermaya ke jaise main qayem ko masjid e sahla mea apne khandan aur unki awlaad ke saath dekh raha hoon. Maine poocha kya wo unka ghar hoga, AAP a.s. ne  fermaya ke haan. 




๐Ÿ“—bihar al anwar v.52 P.381