ye kaisa pata chale k ye wahi Mehdi e awwal hai aur Yamaani hai, jo hamaari kitaaboun mea likha gaya hai?
Ye Imam Ali AlRaza alaihis salaam ne jaslique al nasaara se munaazra kartey huye
(jaaslique ne kaha ) k aap MUHAMMAD s.a.w.a k siffat k baarey mea bayaan kijiyea to Aap a.s ne kaha , Mea siffat nah bayaan karunga balkey aesee siffat bayaan karunga jo k Allah ne bayaan ki hai , Allah s.w..t ne farmaya k ye maalik e oonth hai aur asaa aur kisa ka nabi hai aur al ummi hai , jo unki kitaab taurayt o injeel mea zikr hai jo amr bil maaroof o nahi anil munkar karta hai aur tayyabaat halaal aur qabaayes haram karta hai aur gunaahoun k hathkariyoun se rehaa karta hai , behtareen raastey ki taraf hidaayat karta hai, aur seedhi raah ki taraf aye jaaslique mea tumhey Isa Roohullah k kalma ki qasam deta hun, kia aap ye nabi ki siffat injeel mea nahi paatey hai? to Jaaslique ne sir jhukaaker sonchne lagaa k agar injeel ka inkaar karun to kufr mea jaaye, Phir jaaslique ne kaha ye siffat injeel mea zikr hai aur nabi Isa ne bhi zikr kiya, aur injeel mea ye siffat Muhammed s.a.w.a ki sahi hai , to Aap a.s ne kaha k : Dusri siffar(yaani another version of injeel) mea bhi uska zikr aur uskey alaawa uske wasi ka zikr aur uskey beti Fatima s.a ka zikr aur Hassan O Hussain alaihim as salaam ka zikr, to jab jaslique ne aur raas al jaalood (yahoodi) ne sunah to dono ko pata chala k Imam a.s koi llm hai taurayt o injeel ka, to wo kehne lagey k Khuda ki khasam ye aese dalaayel k saath aaye hai k hum na issey inkaar kar saktey aur na lautaa saktey, kyun k iska inkaar poori taurayt o injeel ka inkaar hai, aur nabi musa aur isa dono uski bashaarat diye lekin humko iss baat ka yakheen nahi hua k ye wahi Muhammad jo hamaari kitaaboun mea likha hua hai, aur phir kaha k zaroori to nahi k yahee naam hotay huye iqraar nahi karsaktey k ye wahi Muhammad hai .
to Aap a.s ne kaha: Kia tum shak ki buniaad per issey chor rahey ho? Jab k Adam se leke aaj tak kia koi Muhammad naam ka nabi aaya? aur jitney bhi ambiyaa naazil huye kisi mea bhi Muhammad k alaawa ye siffat paaye kia? Arabic
📗 Isbaat al hudaat vol 1 page 194 – 195
Issi daleel e Imam Ali AlRaza alaihis salaam k sahaare hum bhi yahee daleel qaim karte hai k Ghaybath e Kubra k 1200 saal hogaye kya kisi Aulaad e Imam AlMahdi mea se kisi bhi shaks ne Ahmed honay ka daawa kiya hai ?
Lehaaza jab koi aur daawedaar hee nahi hai to Allah ne iss masle ko saaf saaf bayaan kardiya hai, ab her bande per laazim hai Allah k bataaye huye ishaare per qaim rehna.