Kya Yamaani Imam AlMahdi a.s k farzand Mehdi e awwal hai
Pehli Daleel
**Pehli hadees yamaani k taalukh se**
Ek to ye k Imam Muhammed Baquer alaihis salaam ne farmaaya:
Jab Yamaani ka zahoor hoga wo logoun ko aur her musalmaan ko hathyaar bechna haram kardega ,jab yamaani aaye uskey pass jao kyun k uska parcham , haq ka parcham hai,aur musalmaan per ussey monh morhna jaayez nahi hai , jiss kisi ne munh morha wo ahal e Jahannum hai, kyun k wo haq ki taraf bulaayega aur seedhay raastey ki taraf.
📗Gaibat Al Numani p.264
Note: Ooper ki hadees se ye sab kuch saabith hota hai jo neechay bataaya gaya
1-)
Yamaani Masoom hai kyun k siwaaye masoom k kisi aur ka saath na dena insaan ko jahannumi nahi banaata, lekin agar Yamaani ka saath na do to wo her shaks jahannumi ho raha hai
2-)
Yamaani hee pehla shaks hai jo Imam AlMahdi se milega kyun k ussi ki hidaayat per sab ki bakhaa hai warna sab jahannumi hai.
3-)
Yamaani saaheb e shariyyath hai jaisa k Imam Muhammed AlBaquer alaihis a.s ne kaha k wo Hathyaar bechna haram kardega aur agar log nahi maane to wo jahannumi hojaajyenge. Aur saaheb e shariyyath siwaaye hujjat k, koi aur nahi ho sakta.kyun k siwaaye saaheb e shariyyath k koi halaal ko haraam nahi karsakta.
**Wasiyyath e Muhammed s.a.w.a Imam Al Mahdi a.s k bete k taalukh se**
Muhammed RasoolAllah s.a.w.a ne apni taweel wasiyyath jo Imam Ali ne likhi hai aur jo Sheikh Tusi ki kitaab Al Ghayba mea darj hai uss mea bataaya hai K Mere baad 12 Imam hongay aur unke baad 12 Mahdi ………(Phir 12 Aayemma k naam lene k baad farmaaya) ………. Ye 12 IMAM hai aur unke baad 12 Mahdi hongay
Jab Allah unhe wafaat dega to wo ye haq apnay bete jo k khaas mea se awwal hai , jis k 3 naam hai ek mere aur mere waalid jaisa Abdullah, Ahmed aur teesra naam Mahdi hoga. **Aur wo imaan laane waaloun mea se awwal hai**
📗Al-Ghayba Sheikh Tusi a.r - wasiyyath e Muhammed s.a.w.a
Note: Ab ooper ki wasiyyath mea agar hum ghour karey aur dekhe k Hujjath k naam ki fehrist mea kaun guzar gaye aur kaun baakhi hai, to hamey dikhega k sheikh tusi al ghayba ki fehrist mea sirf do hujjath baakhi hai aur baakhi saare guzar gaye. Pehli Hujjat Imam Al Mahdi alaihis salaam khud hai aur dusri Hujjath Aap a.j.t.f ka beta Mehdi e awwal hai **aur wo Imaan laane waaloun mea se awwal hai** Aur ye Imaan laana Imam AlMahdi k zahoor per sabse pehle Imaan laana hai, aur iski wajah ye hai k Zahoor se Pehle Ahlebait e Mahdi zaahir ho chukay hongay.
Imam Ali ne farmaaya: Mashriq se (east se) ek shaks uthega Imam Mahdi se Pehle unke Ahlebait se
📗 Kanz ul amal sheikh AlKorani jild 7 page 261
Abaan ibn taghleb se rivaayat hai k maine abaa Abdullah JAAFER BIN MUHAMMAD a.s ko ye farmaatey sunah: Agar haq ka parcham zaahir hojaaye to ussper mashriq o maghrib k log laanat karenge , kia tumhey pata hai kyun ?
Maine kaha : Nahi.
AAP a.s ne farmaya : log jo dekhenge uske AHLEBAIT a.s se uskey khurooj se pehle .
📗Gaibat Al Numani p.298-299
Note: Lehaaza ooper ki dono hadeesoun se ye saabith hai k Mahdi k Ahlebait Mahdi se pehle uthenge aur haq ki taraf bulaayenge. Aur Mahdi ka beta Sabse pehla hai. Yaani Ek taraaf Yamaani sabse Pehla shaks hai Dusri taraf se dekha jaaye to Mahdi ka beta sabse pehla shaks hai. Lekin Pehla sirf ek shaks ho sakta hai do nahi. Lehaaza iss baat ko qubool karne k alaawa koi aur raasta nahi k Mahdi e Awwal hee ko Pehla Shaks Yamaani hona laazim hai jo sabki hidaayat kareg. Jo Saaheb e Shariyyath bhi hai aur Masoom bhi.
Dusri Daleel
RasoolAllah s.a.w.a ne Al-Abbas aur Ali ka haath thaama aur farmaaya:
Ek shaks iss shaks(Al-Abbas) ki zuriiyath se uthega jo dunia ko zulm o jabar se bhardega. Aur ek shaks iss shaks (Ali) ki nasl se uthega jo dunia ko adl o insaaf se bhardega. Agar tum aisa hota dekho to uss shaks k pass jaao jo k **Yamaani hai jo mashriq se aayega aur yahee Mahdi ka parcham liye huye hoga**
📗Al-Mahdi Al-Muntather Al-Mawood baab 2 safa 207 (Arabic book)
Note:
Parcham waala yamaani jiska saath dena wajib hai warna log jahannumi hojaayenge wo mashriq se aayega. Aur Mashriq mea koi yemen moujood nahi siwaaye basra k jiske liye ye hadees hai k
Imam Jafer Sadiq alaihis salaam says:
**Basra** k paanch naam hai, jo Imam jaanta hai ya wasi e Imam jaanta hai, aur wo hai Basra , Buseera, Madina, Mudayna aur **Yemen**
📗 طلایع الظهور در Ø´Ø±Ø Ø²ÛŒØ§Ø±Øª عاشو ر
Note:
Yaani k parcham waala yamaani basra se hai aur wo sabse pehla hidaayat karne waala hai,
Ameerilmomineen Ali alaihis salaam jab As’haab e Imam AlMahdi ka tazkera kar rahe they to aap ne farmaaya: Unmea se sabse pehla Basra se hoga aur sabse aakhri Ibdaal se
📗Bashaarath Al-Islam page 148
Note: Aur Yamaani pehla hidaayat karne waala hai aur ooper ki hadees se pata chalta hai k wo Basra se hai.
Aba abdullah Imam Jafer AsSadiq alaihis salaam jab As’haab e Imam AlMahdi ka tazkera kar rahe they to aap ne farmaaya: Aur Basra se Abdulrahman, Ahmed aur Maleeh hai
📗Bashaarath Al-Islam page 181
Ek shaks uski nasl se uthega usse pehle mashriq se jo talwaar shaanoun per uthaaye rakhega 18 mahinoun tak.
📗Ma Ba’ad Al Thohour page 408
Note: Basra se teen shaks hai in mea se Ahmed ek aisa shaks hai jiska naam Wasiyyath mea bhi liya gaya hai k Ahmed Mahdi ka beta hai aur wo sabse pehla Imaan laane waala hai. Aur wahi nasl se uthne waala shaks hai jo mashriq yaani basra se uthega. Lehaaza ye saabith ho chuka hai k Yamaani ka naam Ahmed hai aur wahi hidaayat karega aur wahi sabse pehle Imaan laane waala hai aur wahi Mahdi ka beta hai.
Teesri Daleel
Abu Jaafer Imam Muhammed AlBaquer alaihis salaam ne farmaaya:
Aur jab Sufyani maloon zaahir hoga, aur jab sab k saamne zaahir hoga, uss waqt kufa mea 12 Parcham uthenge jo jaane jaayenge, aur Kufa se ek shaks AlHussain bin Ali k betoun mea se uthega jo apne waalid ki jaanib daawat dega. Phir Sufyani apna Lashkar bhejega
Abi Na’eem ki Kitaab AlFitan jild 1 safa 28
Note:
Hussain bin Ali k betoun mea se uthega aur waalid ki jaanib daawat dega, jab k daawat dene waala shaks sirf Yamaani hai aur ussi ki daawat per nusrat laazim hai, lekin ooper ki hadees mea uss daawat dene waale shaks k baare mea kaha gaya k wo Hussain bin Ali ki nasl se hai aur apne waalid ki jaanib daawat de raha hai, aur sirf Mehdi e Awwal hosakta hai jo apne waalid Imam AlMahdi alaihis salaam ki jaanib daawat de raha hai