Umme kulsoom ka nikah
kya waaqayi omar se hua?
Ibn Abdul Bir ne apni kitaab Al-Isti’aab (v.1, p.425) mein likha: "Muhammad ibn Jafar ibn Abi Talib, wahi hain jo Umme Kulthoom bint Ali ibn Abi Talib se nikah kar chuke thay Umar ibn Khattab ke inteqal ke baad."
Al-Beri ne Al-Jawhara (v.1, p.205) mein Muhammad ibn Jafar (Al-Tayyar) ke mutaliq kaha: "...aur Muhammad, woh Abi Talib ke mushabeh hain aur wahi hain jo Umme Kulthoom bint Ali se nikah kar chuke hain."
Ibn Al-Atheer ne Asad Al-Ghaba (v.2, p.481) mein likha: "Muhammad ibn Jafar ibn Abi Talib: ... Muhammad apne chacha Abi Talib ke mushabeh hain aur wahi hain jo Umme Kulthoom bint Ali se nikah kar chuke hain."
Imam Jaafer AsSadiq a.s se ek martaba sawaal poocha gaya: “Sunni log ye daawa karte hain ke Sayyida Umme Kulthoom a.s ka nikah Umar se hua tha, jabke hum yakin ke saath kehte hain ke ye ek jhoot hai. Riwayat hai ke Umar bin Atheena ne kaha: Maine Abi Abdullah a.s se poocha: log humse behas karte hain aur kehte hain: Amir-ul-Momineen a.s ne apni beti Umme Kulthoom ka nikah fulaan se kiya tha. Imam uth baithe aur kaha: 'Kya ye log ye kehte hain? Ye woh log hain jo hidayat ka rasta nahi dikhate, subhanAllah, kya Amir-ul-Momineen a.s apni beti ko bachane ke liye madakhalat nahi kar sakte thay? Unhone jhoot kaha aur jo unhone daawa kiya wo nahi hua...'" (Bihar al-Anwar, vol.42, p.88)
Sawaal:
Woh log ye daawa karte hain aur poochte hain: agar Umar unke shauhar nahi thay, to phir kaun tha? To aap humein batayen, aye Maula? Wallahi hamara sawaal shak ki wajah se nahi hai, balki yaqeen mein izafa karne ke liye hai.
Muhammad Shareef/Morocco
Jawaab:
Imam Ahmad Al-Hasan a.s ka jawab: "Umme Kulthoom ka shauhar Muhammad ibn Jafar ibn Abi Talib tha. Lekin Allah aap par reham kare, kya aap unhein is baat par laa dete hain? Iska haq aur baatil se kya talluq hai? Kya Firon ki biwi jo Nabi ke nasl se thi, dunya ki behtareen aurton mein se nahi thi jese Nabi ne bayan kiya? Kya Nuh aur Lut ki biwiyan kafir nahi thin? Aur agar aap keh den ke uska shauhar fulaan tha, kya wo aapke kehne se khush ho kar apne jhoot band kar denge?
Agar aap logon ke saath behas mein unhein shikast dena chahte hain aur un par daleel qayam karna chahte hain, to unhein khilafat aur wasi ke qanoon ki daleel pesh karein."