Wasiyyath e Muhammed s.a.w.a mea likha hai wafaath k baad
Jab kisi ne Ahmed AlHasan se poocha k Kaar e hidaayat to Imam k intekhaal k baad supurd hota hai, to phir aap iss waqt kaar e hidaayat kaisa chalaa rahe hai jab k abhi to Imam AlMahdi alaihis salaam ka zahoor tak nahi hua ?
Imam Ahmed AlHasan alaihis salaam:
Baatil ki jehaalath saabit karne k liye bass itna kaafi hai k lafz e wafaath k maayene bataa diye jaaye.
Wafaath k maayene hamesha Maut k hee nahi hotay, wo ek ishaara hai maut ki taraf jab k maut ka sahi lafz istefaa hai.
Wafaath k maayene ghaybath k
Quran mea Aale Imran aayat 55 se:
إِذْ قَالَ اللَّهُ يَا عِيسَىٰ إِنِّي مُتَوَفِّيكَ وَرَافِعُكَ إِلَيَّ وَمُطَهِّرُكَ مِنَ الَّذِينَ كَفَرُوا وَجَاعِلُ الَّذِينَ اتَّبَعُوكَ فَوْقَ الَّذِينَ كَفَرُوا إِلَىٰ يَوْمِ الْقِيَامَةِ ۖ ثُمَّ إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأَحْكُمُ بَيْنَكُمْ فِيمَا كُنتُمْ فِيهِ تَخْتَلِفُونَ
jiss waqt khuda ne farmaya k aye isaa mea tumhaari muddat poori karne wala hun, aur tumko apni taraf (Mutawaffeka - lafz e wafaat hai) uthaane wala hun aur tumko kaafiraoun (k mail jhol ki kharaabi) se paak karne wala hun aur jin logoun ne tumhaari pairwee ki hai unko inkaar karne waaloun per qayamat tak fauqiyyat dene waala hun, phir tum sab ki baazgusht meri taraf hogi aur jin maamelaat mea tum ikhtelaaf kiya karte they unn mea mein tumhaare maa bayn ussi waqt hukum sunaadunga 3:55
Note : Ooper ki maayene saaf bataate hai k wafaath k maayene ghaybat k bhi hotay hai kyun k Agar Musalman ye kehde k Isa ka naubillah intekhaal hogaya to wo daayere islaam se baahar hojaayega. Jab k Allah Isa ko wafaath dee hai yaani ghaybat dee hai.
Quran Sureh Maaedha Aayat 117
مَا قُلْتُ لَهُمْ إِلَّا مَا أَمَرْتَنِي بِهِ أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمْ ۚ وَكُنتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَّا دُمْتُ فِيهِمْ ۖ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنتَ أَنتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ ۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ
Maine Sirf unko Wohi batein sunayi hai Jo tunay mujhay hukm diya hai, jab tak mein logoun Kay darmiyaan tha, us haal ko Tu janta hai, tawafaytani (yaani wafaat- ek jagah say dusri jagah muntaqil honay ko kehtay hai) tunay jab mujhay muntaqil kiya hai, aap nay mujhay asmaan mein legaya hai, Tu unka Shahid tha.
Note: Ye aayat Hazrat Isa alaihis salaam ko bulaane k liye hai
Lehaaza wafaat k maayene in dono aayaat mea bulaane ya ghaybath k liye istemaal huye hai.
Wafaat k maayene neend k
Sureh An-Anaam aayat 16
وَهُوَ الَّذِي يَتَوَفَّاكُم بِاللَّيْلِ وَيَعْلَمُ مَا جَرَحْتُم بِالنَّهَارِ ثُمَّ يَبْعَثُكُمْ فِيهِ لِيُقْضَىٰ أَجَلٌ مُّسَمًّى ۖ ثُمَّ إِلَيْهِ مَرْجِعُكُمْ ثُمَّ يُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ ﴿٦٠﴾
Aur khuda wahi to hai jo raat ko tumhe neend (Wafaath) deta hai aur din mea jo kaarwaayi tum karchukay ho wo jaanta hai, phir tumko ussi mea bithaata hai k muqarrar kiya hua waqt poora ho, phir tumhaari baazgashti ussi k huzoor mea hogi, phir jo kuch tum kia karte they, usse tumko aagah kardega 6:60
Note: Yahan Allah ne lafz e Wafaath neend liye istemaal kiya hai.
Hadees Al-Kafi Jild 2 safa 539 arabic kitaab
Abaa Abdullah Imam Jafer As Sadiq alahis salaam ne farmaaya k jab
RasoolAllah s.a.w.a bister per jaate they to kehte they:
Aye Allah tere naam se jeeta hun aur tere naam se wafaath paaonga.
Aur jab uthte they to kaha karte they
Tamaam taarifaym Allah ki jisne mujhey wafaath k baad hayaat ataa ki. Aur qayamat mea ussi ki taraf jaana hai
Issi tarah wafaath k chaar maayene hotay bulaane k
1 - chaahe wo shaks ko Allah s.w.t ne ghaybat mea bulaaya ho
2 - ya wo raat mea neend ki haalath mea Allah ne usse bulaaya ho
3 - ya uska inteqaal hua hai aur Allah ne usse bulaa liya ho
4 - ya uski shahadat hui ho aur wo Allah se jaa mila ho.
Lehaaza ye chaaroun, ghaybath, neend, intekhaal aur shahadat ka jamaah lafz hai wafaath.
Ab ye lafz wafaath Wasiyyath mea istemaal hua hai ghour farmaayea.
Muhammed s.a.w.a ne Ali Ibn AbuTalib a.s se shab e shahaadat e Rasool kaha :
Aye Abul Hassan qalam o kaaghaz laao , phir Aap s.a.w.a ne taweel wasiyyat likhwaayi jismea likha hai :
Aye Ali mere baad 12 Imam hongay, aur unke baad 12 Mahdi Hongay
Tum oh Ali baarah imamoun mea se sabse pehle imam ho, aur Allah ne apni jannat mea tumhay Ali Al Murytaza, Ameerilmomineen, Haq e azeem, aur Farooq e Azam, Ameen, aur Mahdi k naam inaayat farmaaya. Ye naam siwaaye tumhaare kisi aur per nahi sajtey. Aye Ali, tum mere wasi ho mere Ahl o ayaal per unke zindagi aur maut k maamloun mea. Meri aurtein jin se tum raazi ho wo mujhse kal milenge aur jin se tum raazi nahi ho unse mea raazi nahi hun. Qayamat k din mea usse nahi dekhunga aur wo mujhey nahi dekhengi. Aur mere baad tum mere Khalifa ho mere mulk mea.
Jab tumhaari wafaath khareeb ho to tumhaarey haqaayeq mere bete Hassan ko de dena.
Jab Hassan ki wafaath khareeb ho to wo ye haq mere bete Hussain ko denge.
Jab Hussain ki wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Sayyad us saajeydeen Zain Al Aabedeen Ali ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Al Baquer ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Jafer Al Sadiq ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Musa Al Kazim ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Ali Al Raza ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Taqi ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Ali Al Naqi ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Al Hassan Al Fazil ko denge.
Jab unnper wafaath khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Al Qaim e Aal e Muhammed ko denge
Ye 12 IMAM hai aur unke baad 12 Mahdi hongay
Jab Allah unhe wafaath dega to wo ye haq apnay bete jo k khaas mea se awwal hai , jis k 3 naam hai ek mere aur mere waalid jaisa Abdullah, Ahmed aur teesra naam Mahdi hoga.
Aur wo mujhper imaan laane waaloun mea se awwal hai.
Bass issi aakhari wasiyyath e Muhammed s.a.w.a mea jisse Ali alaihis salaam ne likha hai, aur jismea likha hai k “Jab unnper wafaath khareeb ho to”
Ye jumla Imam AlMahdi alaihis salaam ko poora haq deta hai k jab ghaybath ka waqt khareeb ho to kaar e hidaayat apne bete k hawaale karey. Lekin ye uss waqt hee diya jaa sakta hai jab k Mehdi e Awwal Moujood ho, aur agar moujood na ho to intezaar karne waale per koi gunaah nahi hai. Aur jab Shahaadat e Imam AlMahdi ka waqt aayega uss waqt mukammil imaamat Mehdi e Awwal ko denge Siwaaye uske jo k khaas muqaam e Imam AlMahdi makaramAllah ho fee il ardh k liye ho.
.