Bismillah Ar Rahmaan Nir Raheem
Tumper ye Wajib kiya jata hai, k jab tum mea se kisi ki maut aaye, agar wo kuch maal chorhey to apnay waaledayn aur khareeb rishtedaaroun k haq mea munaasib wasiyyath karde khuda se darne waaloun per ye ek haq hai
Sureh Baqara Aayat 180
Muhammed RasoolAllah s.a.w.a ki aakhri Wasiyyath
Muhammed s.a.w.a ne Ali Ibn AbuTalib a.s se shab e shahaadat e Rasool kaha :
Aye Abul Hassan qalam o kaaghaz laao , phir Aap s.a.w.a ne taweel wasiyyat likhwaayi jismea likha hai :
Aye Ali mere baad 12 Imam hongay, aur unke baad 12 Mahdi Hongay
Tum oh Ali baarah imamoun mea se sabse pehle imam ho, aur Allah ne apni jannat mea tumhay Ali Al Murtaza, Ameerilmomineen, Haq e azeem, aur Farooq e Azam, Ameen, aur Mahdi k naam inaayat farmaaya. Ye naam siwaaye tumhaare kisi aur per nahi sajtey. Aye Ali, tum mere wasi ho mere Ahl o ayaal per unke zindagi aur maut k maamloun mea. Meri aurtein jin se tum raazi ho wo mujhse kal milenge aur jin se tum raazi nahi ho unse mea raazi nahi hun. Qayamat k din mea usse nahi dekhunga aur wo mujhey nahi dekhengi. Aur mere baad tum mere Khalifa ho mere mulk mea.
Jab tumhaari wafaat khareeb ho to tumhaarey haqaayeq mere bete Hassan ko de dena.
Jab Hassan ki wafaat khareeb ho to wo ye haq mere bete Hussain ko denge.
Jab Hussain ki wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Sayyad us saajeydeen Zain Al Aabedeen Ali ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Al Baquer ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Jafer Al Sadiq ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Musa Al Kazim ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Ali Al Raza ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Taqi ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Ali Al Naqi ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Al Hassan Al Fazil ko denge.
Jab unnper wafaat khareeb ho to wo ye haq apnay bete Muhammed Al Muhaafez e Aal e Muhammed ko denge
Ye 12 IMAM hai aur unke baad 12 Mahdi hongay
Jab Allah unhe wafaat dega to wo ye haq apnay bete jo k khaas mea se awwal hai , jis k 3 naam hai ek mere aur mere waalid jaisa Abdullah, Ahmed aur teesra naam Mahdi hoga.
Aur wo mujhper imaan laane waaloun mea se awwal hai.
Khuda rehem karey innper aur inki nasl per.
Arabic reference:
📗Sheikh al toosii - ghaybat le toossi pag 150hor ul amri- itbat lhodat vol 1 pa 549
📗Hur al amri-al'iqaad alhaja page 393 -3
📗Shaykh hassan bin soulaimaan al hilli - mokhtassar al basair page 159-4
📗Al alamma majlisi-bihaar ul anwaar- vol 53 page 147
📗Al alamma majlis -bihaar ul anwaar- vol 36 page 260
📗Sh abdullah al bahrain- al awalim vol 3 page 236
📗As sayyid hashim al bahraini ghaybat al moannam vol 1 page 370
📗As sayyid hashim al bahraini - al insaaf page: 222
📗Al fayd al kashaani-nawadir al akhbaar page: 294-9
📗Shaikh al mirza annouri annajm attaqib vol2 page 71
📗Assayyid muhammad sadiq as sadr - taarrik ma baad as zahoor page: 641-11
📗As shaikh al mayanji - makatib ar rasool vol 2 page 96
📗Shaikh kourani mokhtaasir al moajjam hadees al imam al mahdi page: 301 -13
Urdu Reference:
📗Bihaarul anwaar Vol 12 Page 730