Page 31 - Quran-e-Kareem
P. 31
nd
2 Sureh Al-baqara (31) 1st para
Farma bardaar ho 2:132(toye) aaya tum uss waqt moujuud they (1) jab
yakhuub ko maut aayi thi (laa) k uss waqt unhone apnay betoun se
daryaaft kiya tha k tum mere baad kiski ibaadat karogay (toye) unhone
arz kiya k hum aapke maaabud aur aapke dada-chacha-baap (1) Ibrahim
wa ismaayel wa is haaq k maabud khuda e waahed ki ibaadat kiya karenge
(jeem) aur hum ussi k muteeh rahenge 2:133 wo ek log they jo guzar gaye
(jeem) unka kiya unke liye raha aur tumhaara kiya tumhaare liye (jeem)
aur jo kuch wo kiya karte they uski baat tumse sawaal na kiya jaayega
2:134 aur unhone yeh kehdiya k yahuudi ya nasraani hojaao to hidaayat
paaogay (toye) (aye rasool) tum yeh kehdo k qaalis dil se millat e Ibrahim
ka ittebaa karo (jeem) aur wo mushrikeen mea se na they 2:135 tum ye
kehdo k hum imaan laaye hai allah per aur jo kuch hum per naazil kiya
gaya aur jo kuch Ibrahim aur ismaayel aur is-haaq aur yakhuub aur asbaat
per naazil kiya gaya hai ussper aur jo kuch musa aur isa ko diya gaya hai
ussper aur jo nabiyon ko unke rabb ki taraf se mila hai ussper (jeem) aur
hum (misl e yahuud k ) inmea se kisi mea koi farq nahi karte aur hum
ussi khuda k