Page 360 - Quran-e-Kareem
P. 360
11 Sureh hud (360) 12 para
th
th
Jo imaan laya [usko bhi bithalo] halanke unke saath imaan bahut kam
laaye the 11:40 aur Noah (a.s) fermaya k Bismillah kehker us mein sawar
ho jao k iska chalna aur thehrna ussi k zariye se hai beshak mera
parwardigaar bada bakhashne wala aur rehem kerne wala hai 11:41 aur wo
kashti unko maojon mein lekar chali ja rahi thi aur Noah (a.s) ne apne
bête ko awaaz di dar halaanke wo alaheda maqam per tha k aye mere
pyare bête hamaare saath sawaar ho ja aur kafiron k saath mat reh 11:42
usne jawab diya k main pahaad per panah leloonga wo mujhe pani se
bacha lega. Noah (a.s) ne fermaya k aajke din khuda k azaab se koi
bachane wala nahin hai siwaaye uske jisper khuda e taala ne rehem
fermaaye aur maoj donon [baap aur bête] k mabain haayel ho gai pas beta
doob gaya 11:43 aur hukum diya gaya k aye zameen apne pani ko nigal le
aur aye asmaan ruk ja aur pani sukha diya gaya aur mamla tae ker diya
gaya aur kashti koh e judi per thehr gai aur ye keh diya gaya k zalim logon
k liye halakat ho 11:44 aur Noah (a.s) ne apne parwardigaar ko pukaar ker
arz ki ka aye mere parwardigaar mera beta to meri aulaad se yaqeenan hai

