Page 43 - Quran-e-Kareem
P. 43
nd
2 Sureh Al-baqara (43) 2nd para
Aur wo aapas mea sulah karaade to ussper koi gunah nahi hai (toye)
beshak khuda baqashnewala (aur) rehem karne wala hai 2:182(22AIN6-6)
aye imaan laane waalo tumper roza rakhna ussi tarah wajib kiya gaya hai
jiss tarah tumse pehloun (2) per wajib kiya gaya tha take tum parhezgaar
bano 2:183 (laa) ginti k din (hai) (toye) issper bhi jo shaqs tum mea se
beemar(3) ho ya safar (4) mea ho to wo aur dinon mea ginti poori karde
(toye) aur unlogon (5) k zimme jinhein roza rakhne ki taakhat nahi hai ek
miskeen ka khana khilaadena (uska ) badla hai (toye ) aur jo shaks apni
khushi se zyaada nayki karey to ye uske liye aur behtar hai (toye) aur roza
rakhna tumhaare liye behtar hai (toye) bashartaykay tum samjho 2:184
maah (mubaarak) ramzan wo hai jismea quran naazil kiya gaya jo kul
aadmiyon ka rehnuma hai aur (usmea) hidaayat ki khuli daleelayn hai aur
haq o baatil ki tameez (toye ) pass jo shaqs tum mea se (6) iss mahinay ko
paaye usse chahyea k iske rozay rakhey aur jo shaqs beemar ho ya safar
mea ho to wo aur dinoun mea