Page 445 - Quran-e-Kareem
P. 445
16 Sureh Nehl (445) 14 para
th
th
Aur ankhon per Allah ne chapa laga diya hai aur khud wohi ghafil hain
16:108 zaroor hai k akhirat mein wohi touta uthane wale honge 16:109
phir zaroor hai k tumhaara parwardigaar un logon k waste jinhon ne
azmaaye jane k baad [apne] ghar chorde, phir jehad kiye, aur sabr kiya,
beshak tumhaara parwardigaar un sab baton k baad [un logon k liye] bada
bakhashne wala [aur] rehem kerne wala hai 16:110 jisdin har nafs apne
aape se jhagadta hua aaega aur har nafs ko jo jo kuch wo kiya kerta tha
poora [poora] badla diya jaayega aur unper zulm na kiya jaayega 16:111
aur khuda e taala ne ek gaon ki misl bayan ki hai jo bekhaouf aur
mutmayin tha aur samaan e rizq usmein her taraf se bakasrat chala aata
tha. Phir wahan k bashindon ne khuda ki naematon ka inkaar kiya to
khuda ne unki kertoot ki padash mein unko bhook aur khaof ka numayan
maza chakha diya 16:112 aur unke paas ek Rasool unhi mein se aaya,
unhone usko jhutla diya. Pas jis haal mein k wo nafermaan

