Page 464 - Quran-e-Kareem
P. 464
th
17 Sureh Bani-Israeel (464) 15 para
th
Aur tumko us baare mein bahut hi kam ilm diya gaya hai 17:85 Aur agar
hum chahte to usko jo tumhaare taraf wahi ki hai ghayab ker dete. Phir
tum usko lautaane k liye hamare barkhilaf kisiko apna karsaaz na pate
(laa) 17:86 siwaaye uske k tumhaare parwardigar ki rehmat hoti (toye)
Beshak usko fazal tumper bahut hi bada hai 17:87 Tum ye kehdo k agar
sab admi aur kul jin is baat k liye jama ho jaen k is quran k manind bana
laen, to iske manind na lasakenge Go unmein ek doosre ka pusht panah
bhi ho 17:88 Aur yaqeenan humne kul admiyoun k nafa k liye is quran
mein har qism ki misal baraber bayan ki hai. Aur phir bhi bahot se log
nashukri kiye baghair na rahe 17:89 Aur unhone ye kehdiya k humto
tumper imaan laaenge nahin jabtak k tum hamare liye zameen se ek
chashma jari na kerdo (laa) 17:90 Ye khaas tumhaare liye khajooron aur
angooron ka ek bagh na ho, phir uske andar hi zameen ko phaard ker hi
nadiyan na bahado (laa) 17:91 Ya jaisa k tumhaara gumaan hai humper
asmaan ka koi tukda na girado. Ya Allah ko ya farishtoun ko saamne lakar
khada na kerdo 17:92 ya khaas tumhara

