Page 51 - Quran-e-Kareem
P. 51
nd
2 Sureh Al-baqara (51) 2nd para
Halaanke jo muttaqee hai wo qayamat k din unnper fauqiyyat rakhte
hongey (toye) aur allah jissey chahta hai behisaab rizzaq inaayat fermata
hai 2:212(ibteda mea) sablog ek hee haal per they phir khuda ne khush
khabri dene waale aur daraane waale ambiyaa bheje (swat) aur unke saath
barhaq kitaab naazil ki take logon k fee maabayn jiss baare mea ikhtelaaf
hai uska faysla karde (toye) aur jo kuch ikhtelaaf tha wo unlogon ki taraf
se tha jinko kitaab dee gayi thi aur unhone aapas ki zidd se khuli daleelayn
aa lene k baad kiya tha (jeem) phir khuda ne imaan laane waaloun ko
apnay hukum se raah e haq jiske baare mea wo ikhtelaaf kiya karte they
dikhlaadi (toye) aur alla jisse chaahe raah e raasta dikhlaade 2:213 kia
tumne ye gumaan (2) karliya hai k tum bahisht mea chale jaaogay
halaanke abhi tum per waisee nahi padhi jaise unnper (guzar gayi ) jo
tumse pehle ho guzre hai (toye) k unnper iflaas aur amraaz ki (bhi)
sakhtiyaan guzre aur hilaa(jhinjhor ker) maare gaye yahaan tak k rasool
aur unke saath imaan laane waale bol uthey k allah ki

