Page 532 - Quran-e-Kareem
P. 532

22   Sureh al-hajj                         (532)                17   para
                                                                                          th
                         nd





               kerta hai 22:14 jiss shaks ko ye gumaan hogaya ho k Allah uski dunya aur

               akhirat mein hergiz madad na karega pus usko chaiye k aasmaan ki taraf


               ek rassi taney phir usey galey mein daal ker latak jaye phir dekhey k aya


               uski ye tadbeer gusa dilaney wali cheez ko rafa kerti hai ya nahi? 22:15 aur

               is tarhan humney is quran ko khuli ayatein kerke utaara aur Allah jiski


               chahta hai rahbari fermata hai 22:16 beshak jo log imaan laaye aur jo

               yahoodi hogaye aur sitara parast aur nisara aur atish parast aur jin logon


               ney shirk kia qayamat k din khuda ta’ala in sab k mabeen faisla fermayega


               (toye) yaqeenan Allah her cheez ka dekhney wala hai 22:17 kia tumney

               usmein ghor nahi kia k jo aasmanon mein hain aur jo zameen mein hain


               aur sooraj aur chand aur sitaarey aur pahaardh aur darakht aur chopaaye


               aur bohhot se admi Allah hi ko sajda kertey hain (toye) aur bohhot se

               azaab k mustaheq hogaye hain (toye) aur jiski
   527   528   529   530   531   532   533   534   535   536   537