Page 559 - Quran-e-Kareem
P. 559
24 Sureh an-noor (559) 18 para
th
th
aur panchwi mertaba ye kahey k ager mein jhoota hoon tu mujhper khuda
ki lanat ho 24:7 aur us aurat se saza ko ye baat taal degi k wo chaar
mertaba khuda ka naam leker ye gawahi dey k wo jhoota hai 24:8 (laa) aur
panchwi mertaba ye kahey k ager wo sacha hai tu mujhper khuda ka azaab
(nazil) ho 24:9 aur ager tumper khuda ka fazal aur uski rehmat na hoti (tu
ye qaidey kyun taleem kerta) aur beshak Allah bara tobah qubool kerney
wala (aur) hikmat wala hai 24:10 (hamza) beshak jin logon ne tohmat lagai
wo tumhi mein se ek groh hai (toye) usko apney haq mein bura na samjho
(toye) balkey wo tumhaarey liye acha hai (toye) unmein se her shaks se
liye jo gunah (bhi) wo karega wahi hai (jeem) aur jo unmein se gunah ka
bara hisa lega ussi k liye bara azaab hai 24:11 jiswaqt k tumney usko suna
tha to momin mardoun aur momin aurton ney naik gumaan kyun na kia
aur ye kyun na kaha balkey ye sareh bohtan hai 24:12 wo is baat per chaar
gawah kyun na laaye

