Page 567 - Quran-e-Kareem
P. 567
24 Sureh an-noor (567) 18 para
th
th
aur apni (apni) tasbeeh ko khoob janta hai (toye) aur jo kuch ye kertey
hain Allah usey khoob waqif hai 24:41 aur aasmanon ki aur zameen ki
badhshahat Allah hi ki hai (jeem) aur Allah hi ki taraf sabki baazghasht
hai 24:42 kia tumney ye nahi dekha k Allah baadal ko haank lata hai phir
us (ke tukron) ko aapas mein jordh deta hai phir unko tayh ba tyah(layer
by layer) rakhdeta hai phir tum unhi k maabayn se meah(baarish) ko
nikaltey dekhtey ho (jeem) aur Allah aasman se pahardh ki shakal k
baadalon se oley bersata hai (meem) phir un olon se jisko chahta hai
sadma pohonchata hai aur jisey chahta hai unko hata deta hai (toye)
khareeb hai k uski bijli ki chamak basaraton ko gharat kerdey 24:43 (toye)
Allah raat ko aur din ko adalta badalta rehta hai (toye) beshak usmein
samajhney walon k liye ibrat (mojood) hai 24:44 aur Allah ne her chalney
wala pani se paida kia pus unmein se baaz tu aesey hain jo apney paith k
bal chaltey hain aur baaz aesey hain jo do paon per chaltey hain (jeem) aur
baaz aesey hain jo chaar per chaltey hain (toye) Allah jo chahta hai paida
kerta hai (toye) beshak Allah her cheez per poori poori qudrat rakhney
wala hai 24:45 yaqeenan humney haqeeqaton k kholney wali aayatein nazil
ki (toye) aur Allah jisko chahta hai rah-e-raast tak

