Page 573 - Quran-e-Kareem
P. 573
25 Sureh al-furqan (573) 18 para
th
th
wo Allah hi ka hai tum jis rawish per ho usey wo khoob janta hai (toye)
aur jisdin wo uskey hazoor mein lautaye jaingey tu jo jo kuch wo kia
kertey they wo unko usey agah kerdega (toye) aur Allah her cheez ka
(poora poora ) janey wala hai 24:64 (hamza)
SURAH FURQAN MAKEEH SUREH 77 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehman o raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Sahib-e-berkat hai wo jisney apney bandey per (haq-o-batil) ki jaanch nazil
ki k wo tamaam alamon k liye daraney wala ho 25:1 (laa) wo wahi hai
jiskey liye aasmanon ki aur zameen ki saltanat (musallim) hai aur usney
koi beta nahi banaaya aur na saltanat k mamley mein koi uska shareek hua
aur usney her cheez ko paida kia phir uska aesa andaza kerdia jaisa k
andaza kerney ka haq hai 25:2 aur unhoney usey chordh ker aesye khuda
banaliye hain jo ek cheez (bhi) nai banatey balkey khudh banaey jatey hain
aur na wo apni zaat k liye kisi nafa ya zarar ka ikhtiyaar rakhtey hain aur
na kisi ki maut ka ikhtiyaar rakhtey hain aur na kisi ki zindagi ka aur na
kisi ki doobara uthaneka 25:3 aur unlogon ney jo kafir hogaye ye kehdia

