Page 590 - Quran-e-Kareem
P. 590
26 Sureh Shura (590) 19th para
th
Bane hue hain. 26:71 fermaya jab tum pukarte ho ye tumhaari sunte bhi
hain? (laa)26:72 ye tumko nafa ya nuqsan pahunchate bhi hain? 26:73
unhone kaha [yeto kuch nahin] balke humne apne baap dada ko aisa hi
kerte paya 26:74 fermaya tumne khayal bhi kiya k tum aur tumhaare pehle
baap dada (laa)26:75 pujte kin cheezon ko rahe ho 26:76 pas ye mere to
yaqeene dushman hain han parwardigaar e alam [haqeeqi dost hai]
(laa)26:77 jisne mujhko paida kiya pas wohi mujhe raah bataega (laa)26:78
aur wo wohi hai jo mujhe khana khilata hai aur mujhe pani pilata hai
(laa)26:79 aur jab main beemar ho jata hoon to wo mujhe shifa deta hai
(laa)26:80 aur wo wohi hai jo mujhe maot dega phir mujhe zinda karega
(laa)26:81 aur wohi hai jis se main khwahish rakhta hoon k qayamat k din
mere gunah baksh de (laa)26:82 aye mere parwardigaar mujhe hukum
[khilafat e haqeeqi] inaayat ker aur mujhe nek logon k saath milaade
(laa)26:83 aur mere liye aakhir aane walon mein se ek sachai ki zabaan
muqarrar ferma. (laa)26:84 aur mujhe nemat wali jannaton k warison mein
se qarar de (laa)26:85 aur mere chacha k gunah baksh de beshak wo
gumrahon mein se tha(laa)26:86

