Page 773 - Quran-e-Kareem
P. 773

42     Sureh Ash-shura              (773)                        25   para
                                                                                          th
                         nd

               Wahi ki hai aur jiski baat humne Ibrahim a.s. aur Musa a.s. aur Esa a.s.ko


               wasiyat ki thi k deen ko qaim rakho aur uske baare mein firqe firqe na ban

               jao. Mushrikon per wo amr jiski taraf tum unko bulaate ho bahut giran


               guzra. Allah us amr k liye jisko chahta hai muntaqib ferma leta hai aur

               taufeq-e-hidaayat ussi ko ata kerta hai jo uski taraf ruju kare 42:13 Aur


               baad iske k unke paas ilm aachuka tha wo mehez aapas k hasad k baaes


               firqe firqe ban gaye aur agar tumhaare parwardigaar [ki taraf se mohlat] ka

               hukum ek muddat e moaiyyana k liye na ho chukka hota to unke maabain


               [kabhi ka] faisla ho chukta  aur beshak jin logon ko unke baad kitaab ka

               waaris kiya gaya wo [ajtak] uske baare mein shak hi mein hain jo unhe


               damadol kiye hue hai 42:14 pass [ae Rasool saws] tum ussi ki taraf unko


               bulaae jao aur jaisa tumko hukum diya gaya hai waise hi qaim raho  aur

               unki khwaahishoun ki pairawi na karo aur ye kehdo k Allah ne jo kitaab


               naazil ki hai main us per imaan laya hoon aur mujhe hukum diya gaya hai


               k tumhaare mabain adaalat karoon. Allah hamaara bhi parwardigaar hai

               aur tumhaare bhi. Hamare amaal hamare liye hain aur tumhaare amaal


               tumhaare liye. Hamare aur tumhaare
   768   769   770   771   772   773   774   775   776   777   778