Page 784 - Quran-e-Kareem
P. 784
43 Sureh Az-zuqruf (784) 25 para
th
rd
Cheezon ko tum poojte ho unse to main baree hoon (laa)43:26 magar usko
[poojta hoon] jisne mujhko paida kiya hai [as ankhareeb wo mujhe
hidaayat farmaayega 43:27 aur issi [aetekhaad] ko apni aulaad mein
unhone yaadgar k tour per chorda taake wo uski taraf ruju kerte rahein.
43:28 lekin main unko aur unke baap dada ko nafa pahunchata raha yahan
tak k unke paas haq aur khula Rasool aagaya 43:29 aur jab unke paas haq
aagaya to unhone kehdiya k yeto jaadu hai aur hum iske yaqeenan munkir
hai 43:30 aur unhone ye bhi kaha k ye Quran in donoun bastiyon k kisi
bade admi per kyun na nazil kiya gaya 43:31 aaya wo tumhaare
perwardigaar ki rehmat ko taqseem kerte hain (toye) humne zindagaani e
dunya mein unke maabain unki rozi taqseem kerdi hai aur humne unke ek
ko doosre se ba derja bardha diya hai taake wo ek doosre ka mazaaq
banaaya Karein aur tumhaare perwardigaar ki rehmat un cheezon se jo ye
jamaa kerte hain kaheen behtar hai 43:32 aur agar aisa na hota k log ek hi
jatha ho jaate to hum un k liye jo [khuda e] rehmaan ka inkaar kerte hain
unke gharoun ki chatein [bhi] chandi ki bana dete aur wo zeene bhi jinper
wo chadhte hain 43:33 aur unke makanoun k derwaaze

