Page 9 - Quran-e-Kareem
P. 9

nd
               2  Sureh Al-baqara                          (9)                                      1st para


               (alaihis salaam) ko kul naam taaleem kiye phir (jinke naam taleem kiye


               they) unko farishtoun k saamne pesh karke irshaad farmaya  k agar tum

               sacchey ho to inke naam mujhey bataao 2:31 farishtoun ne ( aajizana) arz


               ki teri shaan aali hai humko siwaaye itney ilm k jitna tune taalim kiya hai ,

               aur ilm kahan beshak sahib e ilm o hikmat tuu hee hai 2:32 (khuda ne)


               farmaya aye adam inke naam in farishtoun ko tum bataao chunaachey jab


               adam ne unke naam un farishtoun ko bataaye (laa) (khuda ne ) farmaya

               kyun maine tumse kaha nahi tha k mea aasmaan aur zameen k posheeda


               baton se bhi aagah hun (3) aur jo kuch tum zaahir kar rahey ho use aur jo

               kuch chupa rahey ho usse  bhi khoob waaqif hun 2:33 aur jiss waqt humne


               kul farishtoun ko hukum diya k adam ko sajda karo to siwaaye iblees k sab


               hee sab hee ne sajda kiya (toye) iblees (akarh ker ) inkaari hua aur

               kaafiron mea shumaar hua 2:34 aur humne hukum diya aye adam tum aur


               tumhaari zoujha iss baagh mea basso aur jahan jahan se tum dono ka jee


               chaahe khoob khaao (piyo) magar iss darakht k pass najaana warna

               tumhaara  shumar naafarmaano mea hojaayega 2:35 shaytaan ne indono


               ko wahan se nikaalne ki tadbeer ki aur jiss haalat mea undono they usmea


               unko naa rehne diya (swat)
   4   5   6   7   8   9   10   11   12   13   14