Page 368 - Quran-e-Kareem
P. 368
11 Sureh hud (368) 12 para
th
th
Main tumko khush haal dekhta hoon aur iss se derta hoon k mujhe
tumhaare bare mein halaak kerne wale din k azaab ka andesha hai. 11:84
aura e meri qoum naap aur tol mein adl aur insaaf k saath poori poori do
aur logon ko unki cheezon mein nuqsan na pahunchao aur zameen mein
fasad mat karo 11:85 agar tum momin ho to jo kuch ba moujib hukum e
khuda tumhaare liye baqi hai wohi tumhaare liye behtar hai aur main
tumhaare kuch nigehbaan nahin hoon. 11:86 unhone kaha k aye shoaib
a.s. kya tumhaari namaz tumhen is baat ka hukum deti hai k jinki hamare
baap dada parastish kiya kerte the hum unko chord den ya apne maal o
daulat mein jaisa hamara ji chahta hai tasarruf na Karen [kyun na ho] aap
hi to bade burdubar aur raastbaaz (seedhay raaste pe chalne waale) shaqs
hain 11:87 Shoaib a.s. ne fermaya k aye meri qoum kya tumhaari samajh
mein na aaya hai k agar main apne rab ki taraf se khuli daleel per hoon
aur usne mujhe rozi inayat fermayi hai to main uski muqalifat karoonga
aur main ye bhi nahin chahta k jis cheez se tumko baaz rakhta hoon khud
uski muqalefat karoon mujhse jahan tak mumkin ho to islah chahta hoon
meri toufeeq Allah hi ki taraf

