Page 384 - Quran-e-Kareem
P. 384
12 Sureh yusuf (384) 12 para
th
th
Saath baras sakhti k aaenge jin mein siwaaye us thode se k jo tum beenj
waghaira k liye rakhte ho aur jo kuch jama kiya hoga sab khajaenge. 12:48
phir uske baad ek aisa baras aaega k jis mein log saer o sairaab ho jaayenge
aur jis mein wo nichodenge. 12:49 badshah [ne jab ye tabeer suni] hukum
diya k tabeer kerne wale ko mere paas lao, jab shahi qasid hazrat Yusuf a.s.
k paas aaya to unhone fermaya k tu apne aakhaa k paas palat ker ja aur ye
kehde k awwal un aurton k baare mein tehqeeq kare jinhone apni apni
hath kat dale the, mera parwardigaar to unke chalattar(chaal saazi) se
khoob waqif hai. 12:50 badshah ne [un aurton ko bula kar] deryaaft kiya k
tumne jab Yusuf a.s. ko phuslaya to tumhaari kya kaifiat thi, unhone ye
kaha k mashallah k humne us mein koi badi nahin pai. Azeez e misr ki
begum ne izhaar diya k abto haq khul hi gaya, maine usko phuslana chaha
tha aur wo apne bayan mein bilkul sachha hai. 12:51 [maine saaf izhar
dediya] isliye k [Yusuf a.s.] jaanle k maine pas e pusht uske haq mein koi
qayanat nahin ki aur ye k Allah qayanat kerne walon ki chaal nahin chalne
deta.12:52

