Page 386 - Quran-e-Kareem
P. 386
12 Sureh yusuf (386) 13 para
th
th
Kaise kaise purey paimane deta hoon aur kaisa acha mehmaan nawaaz
hoon. 12:59 Ab agar tum usko mere paas nahin laaye to na mere paas
tumhaare liye kuch ajnaas hai aur na mere paas akar phatakna.12:60
Unhone ye kaha k hum uske baab mein (baarey mein) uske baap ko
behlaenge aur phuslaenge aur hum zaroor aisa karenge 12:61 aur [Hz
Yusuf a.s.] ne apne mulazimon se keh diya k unka asal sermaya inke
asbaab mein rakhdo taake jab ye apne ahl o ayaal mein palat ker jaayen to
us ahsaas ko bhi samjhen taake phir laot ker aaen.12:62 Pas jab ye apne
walid k paas palat ker aaye to kehne lagey k babajaan hamara to anaj band
ker liya gaya pas hamare bhai ko hamare saath bhejiye k hum apni rasd
(samaan) laayen aur hum zaroor uske mohafiz rahenge. 12:63 [Yaqoob
a.s.] ne fermaya kya main uski nisbat tumhaara waisa hi aitbaar kerloon
jaisa pehle uske bhai Yusuf a.s. k baare mein kiya tha. Pas sabse acha
hifazat kerne wala to Allah hai aur wohi sab rehem kernewalon se zyada
rehem kernewala hai. 12:64 Aur jab unhone apna asbaab khola to ye paya
k unki poonji unko laota di gayi thi. Kehne lagey k babajaan aur humko
kya chahiye ye sermaya bhi hamara humko laota diya gaya

