Page 424 - Quran-e-Kareem
P. 424
15 Sureh Hijr (424) 14 para
th
th
Tarash tarash ker aman wale makaan banaate rahe 15:82 phir subah hote
hote unko cheeq ne aa liya 15:83 pas jo kuch bhi wo kiya kerte the wo
unke kuch kaam na aaya 15:84 aur humne asmanoun ko aur zameen ko
aur jo kuch in donon k dermiyan main hai usko theek theek hi paida kiya
hai aur qayamat yaqeenan aane wali hai. Pas tum khoobi k saath derguzar
kerte raho 15:85 beshak tumhaara parwardigaar hi to paida kerne wala
[aur] waqif hai 15:86. beshak humne aap ko [baar baar) dohraane ki saath
aayatein [sura e fatiha] aur azamat wala quraan ata kiya hai 15:87 unke
grohon ko humne jin cheezon se nafa pahunchaya hai tum unki taraf
nazar na dalo aur na unke liye ranjeeda ho aur mominoun se to tawazeh k
saath pesh aate raho 15:88 aur kehdo k main to saaf saaf derane wala hoon
15:89 humne tumper Quran isi terha nazil kiya hai] jaisa humne unper
tukde tukde kerne walon per nazil kiya tha 15:90 jinhone apne Quran ko
para para kerdiya tha 15:91 pas tere parwardigaar ki qasam hai jo kuch bhi
ye kiya kerte the 15:92 uske bare mein hum zaroor in sabee se to baaz purs
{sawaal jawaab} karenge 15:93

