Page 428 - Quran-e-Kareem
P. 428
16 Sureh Nehl (428) 14 para
th
th
Log raah palate hain 16:16 kya wo jo paida kerta hai uske manind ho sakta
hai jo kuch [bhi] nahin paida ker sakta, kya tum itna nahin samajhte 16:17
aur agar tum Allah ki nemat ka shumar karoge to use poora gin na sakoge,
beshak Allah bada bakhshne wala [aur] bada rehem kerne wala hai 16:18
aur jo kuch tum chupate ho aur jo kuch zahir kerte ho Allah usko khoob
janta hai 16:19 aur Allah k siwa ye jinko pukarte hain wo ek cheez [bhi]
paida nahin ker sakte balke wo khud paida kiye jaate hain 16:20 murde
hain zinda nahin hain aur ye [bhi] nahin jante k dobaara kab uthaye
jaayenge 16:21 tumhaara mabood, mabood e yekta hai phir wo log akhirat
per imaan nahin rakhte dil unke kafir hain aur wo khud bada banna
chahte hain 16:22 beshak ye zaroor hai k jo kuch wo chipate hain aur jo
kuch wo zahir kerte hain us sab ko Allah janta hai albatta wo bada banne
walon ko dost nahin rakhta 16:23 aur jiswaqt unse ye kaha jata hai k
tumhaare parwardigaar ne ye kya nazil kiya hai to kehdete hain k ye to
pehlon ki kahaniyan hain 16:24 nateeja ye hoga k qayamat k din apne bojh
to ye poore poore uthaenge

