Page 455 - Quran-e-Kareem
P. 455
17 Sureh Bani-Israeel (455) 15 para
th
th
Hum hi unko bhi rozi dete hain aur tumko bhi (toye) beshak unka khatl
kerna kabeerah gunah hai 17:31 aur zina k paas na phatko yaqeenan wo
behayai ki baat (toye) aur buri raah hai 17:32 aur kisi nafs ko jiska khatl
khuda ne haram kiya hai siwaaye haq k aur kisi terha khatl na karo(toye)
Aur jo shaqs mazloom khatl kiya jaayega to hum zaroor uske waris ko
ghalba denge pas wo khatl mein zyadati na kare beshak wo madad kiya
gaya hai 17:33 Aur yateem k maal k paas na jana siwaaye us soorat k jo
uski behtari ki ho jabtak k wo baligh na ho jaaye. Aur ahad ko poora
kerna bit tehqeeq ahad k mutalliq sawal kiya jaayega 17:34 aur jab naapo
to paimana poora do. Aur sachhi tarazu se tolo yehi behtar hai aur ussi ka
anjaam acha hai 17:35 Aur us baat k derpe na hawa karo jiska tumko ilm
nahin hai (toye) Bit tehqeeq kaan aur ankh aur dil unmein se harek k
mutalliq

