Page 470 - Quran-e-Kareem
P. 470
18 Sureh Kahf (470) 15 para
th
th
Asmanoun ka aur zameen ka parwardigaar hai. Hum hargiz uske siwaa
kisi doosre ko apna mabood kehker na pukarenge k [agar aisa kare to] us
soorat mein goya humne bahut hi nasaza baat kahi 18:14 Is hamaari qoum
ne to uske siwa bahut se khuda bana liye hain Phir un khudaon k
mutaalliq koi daleel kyun nahin pesh kerte? (toye) Pas, usse zyada zalim
kon hoga jo Allah per jhuta bohtan bandhe 18:15 Aur [ab] jabke tum unse
alag ho chuke aur jin cheezon ko wo Allah k siwa poojte hain unko chord
chuke ho to kisi ghaar mein chal raho.{chaley jaao} tumhaara
parwardigaar tumhaare liye apni rehmat wasee fermayega aur tumhaare
maamle mein sahoolat k samaan mohayya karega 18:16 Aur tum aftaab ko
dekhoge k jisswaqt nikalta hai unke ghaar se bachha bachha daen hath ki
taraf rehta hai. aur jab doobta hai to ben hath ki taraf katraata hua chala
jata hai. Aur wo us ghaar k khule hisse mein hain. Ye bhi khuda ki
nashaniyon mein se ek nashani hai jisse khuda hidaayat deta hai wo
hidaayat yaafta hojaata hai (jeem) aur jinse taufeeq e hidaayat salb kerleta
hai pas uske liye tum koi hami aur hidaayat kerne wala na paoge 18:17
Aur tum unko jagta hua khayal karoge halanke wo sote hain aur hum
daeen aur baeen unko karwat badal wa diya kerte hain.

