Page 475 - Quran-e-Kareem
P. 475
th
18 Sureh Kahf (475) 15 para
th
Hoga (laa)18:35 Aur na main ye gumaan kerta hoon k qayamat aaingi aur
agar main apne parwardigaar ki taraf laotaya bhi gaya to zaroor ba zaroor
is se behtar halat paoonga (Jeem)18:36 Uske saathi ne usse guftagu kerte
hue ye kaha k kya tu uska inkaar kerta hai jisne haqeeqat mea tujhko
mitti se paida kiya, phir nutfe se, phir tujhe acha khasa admi bana diya
(toye)18:37 Raha main so mera parwardigaar to wohi Allah hai aur main
apne parwardigaar ka shareek kisi ko nahin kerta 18:38 aur tune apne
baagh mein daakhil hote hue ye kyun kaha k jo kuch Allah ne chaha [so
hua]. Khuda ki quwwat k baghair koi quwwat nahin, go tu ye samajhta hai
k main maal o aulaad mein tujhse kam hoon (Jeem)18:39 Magar ab
khareeb hai k mera parwardigaar mujhe tujhse behtar bagh dede aur us
[tere bagh ] per asmaan k azaab bhejde k ye chatiyaal maydaan ho k
rehjae (laa)18:40 Ya uska pani itna gehra chala jae k tujh mein uske
nikalne ki quwwat hi na rahe 18:41 Chunache uske phalon per afat aahi
gai pas jo maal wo usmein laga chuka tha usper subah ko hath malta reh
gaya. Baagh to tattiyoun per ulta padha tha aur malik ye keh raha tha k
kaash mein apne parwardigaar ka kisi ko shareek na kerta 18:42 Aur [us
waqt] koi jhatta {group} khuda k

