Page 479 - Quran-e-Kareem
P. 479
th
18 Sureh Kahf (479) 15 para
th
Azaab deta (toye) lekin unke waade ka ek waqt jisse bachne ki wo reh
guzar koi jagah na paenge 18:59 Aur ye bastiyan jiss waqt unke bashindon
ne nafermani ki humne unko halaak ker diya (jeem) aur unke halaak
kerne ka [bhi] humne ek waqt muqarrar ker diya tha 18:60 [us waqt ko
yaad karo] jab k Musa a.s ne apne jawan [sathi] se ye kaha k main to palat
ker jaoonga nahin jabtak k main donon samanderon k maqam e ittesal per
na pahunchun ya salaha saal chala na chaloon 18:61 Bass, Jab wo donoun
un donoun samanderon k ittesal per pahunche to wo donon apni machli
bhool gaye. Pas us machli ne derya mein apni raah banali 18:62 Phir jab
wo donoun usse aage badh gaye, to Musa ne apne jawan [saathi] se kaha k
hamara nashta lao. Hame apni is safar se yaqeenan ranj pahuncha hai
18:63 Jawaan saathi ne kaha k apne ye bhi qayal kiya k jis waqt hum us
pather k paas thehre the to main machli ko bhool gaya tha aur aur
shaitaan ne hi mujhe ye baat bhula di thi k main use yaad rakhta. Aur
ajeeb terha se usne derya mein apni raah banaali thi 18:64 Musa ne
fermaya k, yehi [jagah] to hum dhoondhte phirte hain, pas donon apne
paon k nishanon per khoj lagaate hue phir palte (laa)18:65 aur un donon
ne hamaare bandon mein se ek bande ko paya jisko humne apne paas se
rehmat di thi aur usko humne apne paas se ilm

