Page 581 - Quran-e-Kareem
P. 581
th
25 Sureh al-furqan (581) 19th para
Phir usko beta [beti aur bahu] aur damaad banadiya 25:54 aur tumhaara
parwardigaar [poori poori] qudrat rakhne wala hai aur wo Allah ko chord
ker unko poojte hain jo unko na nafa pahuncha te hain aur na zarar aur
kafir apne malik k berkhilaf ki pushti per rehta hai 25:55 aur humne
tumko khush khabri dene wala aur derane wala banaaker bheja hai 25:56
tum kehdo k mainto tum se paighaam pahunchane ki koi mazdoori nahin
mangta siwaaye iske k jo chahe apne parwardigaar ka rasta ekhtiyar kerle.
25:57 aur tum us zinda per bharosa karo jisko maot na aaegi aur uski
hamd ki tasbeeh padho aur wohi apne bandon k gunah ki khabar rakhne
ko kafi hai 25:58 jisne asmaanon ko aur zameen ko aur jo kuch un donon
k dermiyan hai use 6 din mein paida kiya phir [ba ilm e qudrat] arsh per
moheet ho gaya (jeem) Rehmaan wohi hai pas uske baare mein kisi ba
khabar se sawaal karo 25:59 aur jiswaqt unse kaha jata hai k Rehmaan ko
sajda karo to wo kehte hain k Rehmaan hai kya cheez (qaaf) Kya hum
usko sajda Karen jiski nisbat tum humko hukum dete ho aur ye baat unki
nafrat ko aur badha deti hai 25:60 bada barakkat wala hai jisne asmaan
mein baarah burj (minaar) muqarrar kiya aur un mein ek charagh aur ek
roshni dene wale ko chand bana diya 25:61 Aur wo wohi hai jisne raat ko
aur din ko us shaqs k liye jo zikr kerna chahe

