Page 598 - Quran-e-Kareem
P. 598
26 Sureh Shura (598) 19th para
th
Aur yaqeenan ye tamaam alamon k parwardigaar ka utaara hua hai
(toye)26:192 Ruh ul ameen ne isko saaf arabi zabaan mein utaara hai
26:193 khalb per utaara hai (laa)26:194 taake tum derane walon mein se ho
jao (toye)26:195 aur zaroor iska zikr pehlee kitabon mein maojood hai
26:196 kya ye unke liye koi nishani nahin hui k bani israeel k ulama is se
waqif hain? (toye)26:197 aur agar humne isko kisi ajmi per utaara hota
(laa)26:198 aur wo unke samne padhta to wo usper imaan lane wale na
hote (toye)26:199 issi terha humnen gunahgaron k dil mein [unke asraar k
sabab se] ye baat daldi hai (toye)26:200 k jab tak wo dardnaak azaab ko na
dekhenge imaan na laenge (laa)26:201 aur wo azaab bhi unko yekayek
aalega aur unko khabar tak nahogi (laa)26:202 us waqt wo kahenge k kya
humko mohlat di jasakti hai? (toye)26:203 kya ye hamare azaab ki jaldi
machaa rahey hain? 26:204 kya tumne ghour kiya k agar hum inko kuch
barson tak faida pahunchade (laa)26:205 phir bhi unper wo aaega jiska inse
wada kiya gaya hai (laa)26:206 [aur] jin cheezon se ye nafa utha chuke
hain wo unko kuch faida na dengi (toye)26:207 aur humne koi basti bhi
aisi berbaad nahin ki k jahan agaah kerne k liye derane wala na aaya ho
26:208

