Page 601 - Quran-e-Kareem
P. 601
27 Sureh Namal (601) 19th para
th
Sahib e hikmat-o-ilm k paas se sikhaaya jata hai 27:6 [us waqt ko yaad
karo] Musa a.s. ne apne ghar walon se kaha k main ne ek aag dekhli hai
main bahut jald uske paas se tumhaare paas yato koi khabar lata hoon ya
koi dehekta hua angara lata hoon taake tum taapo 27:7 pas jab Musa a.s.
uske paas pahunche to unko awaaz digai k jo us aag mein hai wo aur jo
uske ird gird hai wo sab Barakat diye gaye hain aur Allah tamaam alamon
ka parwardigaar munazza aur paak hai 27:8 aye Musa a.s. main hi to
zabardast aur sahib e hikmat wala khuda hoon (laa)27:9 aur apna asa to
daal do. Phir jab usko is terha harakkat kerte dekha goya ek tez ru saanp
hai to mu pher ker bhage aur palat ker na dekha [hamare taraf se ye awaaz
digai ke] aye Musa a.s. daro nahin k Rasool mere paas dara nahin kerte
27:10 siwaaye uske jis se koi ziyadti hojae phir wo badal ker badi k baad
neki kare to beshak main bada bakhashne wala aur rehem kerne wala
hoon 27:11 aur tum apne haath apne gareban mein dal do k wo be aib
safaed aur noorani ho kar niklega [ye donon] minjumla nao maojezon k
hain jo firaoun aur uski qoum k liye hain yaqeenan wo nafermaan log hain
27:12

