Page 627 - Quran-e-Kareem
P. 627
28 Sureh An-Qasas (627) 20 para
th
th
Phir ye farmaayega k tumne payghambaroun ko kia jawaab diya tha ?
28:65 phir uss din unse koi jawaab na bann parhega (aur) wo ek dusre se
sawaal bhi na karsakenge 28:66 phir jo shaqs touba karlega aur imaan le
aayega aur nayk amal karega to umeed hai k wo falaah paane waaloun mea
se hojaaye 28:67 aur tumhaara parwardigaar jo kuch chaaheta hai payda
karta hai aur muntakhab karta hai (toye)(1) bandoun ko (intekhaad ka)
koi ikhteyaar nahi hai (toye) jinn cheezoun ko ye shareek thayraate hai
allah un se munazza aur bartar hai 28:68 aur tumhaara parwardigaar un
cheezoun ko (bhi) jaanta hai jinko unke seenay chipaaye huye hai aur
unko (bhi) jinko wo zaahir karte hai 28:69 aur wahi allah hai jiske siwaaye
koi allah nahi hai (toye) awwal o aakher (2) her khism ki taarif ussi k liye
zeba hai (zaal) aur ussi ko hukum (ka haq) haasil hai aur tum sab ki
baazgasht ussi ki taraf hogi 28:70 (aye rasool) tum kehdo k aaya tumne
ghuor kiya k agar allah qayamat k din tak tumper baraabar raat hee ko
musallat kardeta to allah k siwaa aur konsa maabud hai jo tumhaare liye
roshni le aata (toye) kia tum (tawajjo se ) nahi sunte ? 28:71 tum ye kehdo
kia tumne soncha k

