Page 629 - Quran-e-Kareem
P. 629
28 Sureh An-Qasas (629) 20 para
th
th
Usse kaha k tuu itraa nahi (1) yaqeenan allah itraane waaloun ko dost
nahi rakhta 28:76 aur jo kuch allah ne tujhko de rakha hai to uske zariyea
se daar-e-aakherat ka talabgaar ho aur apnay dunia k hissa ko faraamosh
na kar (2) aur jiss tarah allah ne tere saath kiya hai tuu bhi (allah k
bandoun k saath) ehsaan ker aur zameen mea fasaad ka khwwaestegaar
naa ho (toye) beshak allah fasaad karne waaloun ko dost nahi rakhta 28:77
usne kaha k ye jo kuch mujhey diya gaya ye to uss ilm k zariyea se diya
gaya hai jo mere paas hai (toye) kia wo ye nahi jaanta tha k allah ne uss se
pehle bohhot se grohwoun ko jo uss se quwwat mea bhi zyaada they aur
grow mea bhi halaak kardiya tha aur pehle gunahgaaroun se (toye) inke
gunaahoun ki baabat sawaal na (5) kiya jaayega 28:78 phir wo apni khoum
k saamne (6) banaav sangaar karke nikla (toye) to wo log jo zindagaani
dunia k talabgaar hai kehne lagay k kaash hamaare liye bhi aesa kuch hota
jaisa kuch qaroon ko diya gaya (laa) yaqeenan wo barha saaheb naseeb hai
28:79

