Page 634 - Quran-e-Kareem
P. 634
29 Sureh Al-ankaboot (634) 20 para
th
th
Imaan laane waaloun se ye kaha k tum hamaare raaste ki pairwee karo aur
tumhaare(1) gunaahoun ka bojh hum uthaalenge (toye) halaanke wo unke
gunaahoun ka bojh kuch bhi nahi uthaayenge (toye) wo yaqeenan jhuutey
hai 29:12 aur zaroor wo apnay bojh uthaayenge aur apnay boujhoun k
saath aur bojh bhi (zaal) aur jo jo ifteraperdaaziyaan {badmaashiyaan} wo
kiya karte hai qayamat k din unse unke mutallaq zaroor baaz paras ki
jaayegi 29:13(1AIN13-13) aur yaqeenan humne noah ko unki khoum ki
taraf bheja pass wo unn mea (2) pachaas baras kam hazaar saal rahey phir
un(ummat k) logoun ko tuufan ne aaliya jiss haal mea k wo naafarmaan
they 29:14 aur humne noah ko aur kishti waaloun ko najaat dee aur ussi
kishti ko tamaam ahle aalam k liye ek nishaani qaraar diya 29:15 aur
ibraahim ko (bheja) jab k unhonay apni khoum se ye kaha k tum allah ki
ibaadat karo aur uss se daro (toye) agar tum ilm rakhte ho to ye tumhaare
liye (sab se) behtar hai 29:16 siwaaye iske nahi hai k tum allah ko chorker

