Page 901 - Quran-e-Kareem
P. 901
68 Sureh Qalam (901) 29th para
th
nahin ho (jeem) 68:2 Aur yaqeenan tumhaare liye aisa ajr [mohayya] hai jo
munqata hone wala nahin hai (jeem) 68:3 aur beshak tumhaara khulq
{akhlaakh} bahut bada hua hai 68:4 so ankhareeb tumbhi dekhlogay aur
wo bhi dekhlenge (laa)68:5 k tum mea se diwaana kaunsa hai 68:6 bil
tehqeeq tumhaara parwardigaar us shaqs ko bhi khoob janta hai jo uski
rah se bhatak gaya hai (swat) aur un logon ko bhi khoob janta hai jo
hidaayat yafta hain 68:7 pas tum jhutlane walon ki baat na manna 68:8 wo
ye chahte hain k agar tum nermi karo to wo bhi naram ho jaen 68:9 aur
tum kisi aese shaqs ki baat mea na ajana jo bada qasmen khane wala (laa)
68:10 zaleel khayal aib-jo{dusroun mea se ayb nikaalne waala} chughl khor
neki se rokne wala (laa) 68:11 hadd se guzar jane wala gunehgar muh phat
68:12 iss per {ussper} haraami bhi ho (laa) 68:13 mehez is sabab se k wo
maal wa aulaad wala hai (laa)68:14 jiss waqt uske samne hamaari aayatein
padhi jati hain wo kehdeta hai k yeto pehlon ki kahaaniyan hain.
(toye)68:15 ankhareeb hum iski naak per ek nishaan lagaayenge 68:16
Beshak humne unki ussi terha azmaaish ki hai jaise k humne ek bagh
walon ki azmaish ki thi (jeem) jabke unhone qasam khaali thi k kal subah
hum is bagh k phal zaroor todhlenge 68:17 aur Inshallah na kaha tha 68:18
pas us bagh per tumhaare parwardigaar ki taraf se ek bala phirgai aur wo
sote hi rahey 68:19 pas wo aisa ho gaya k usmein ek bhi phal bakhi na
raha (laa)68:20 aur subah k waqt wo

