Page 906 - Quran-e-Kareem
P. 906
69 Sureh Haaqaa (906) 29th para
th
Alishaan bagh mein hoga (laa) 69:22 jiske phal jhuke hue honge 69:23
[unse kaha jaayega ke] guzishta dinon mein jo kuch tum pehle ker chuke
ho uske awaz mein ab maze se khao piyo 69:24 aur raha wo jiska nawishta
uske baayen hath mein diya jaayega to wo kahega kash mera nawishta hi
mujhe na diya gaya hota (jeem) 69:25 aur main janta hi nahin k mera
hisaab kya hai? (jeem) 69:26 aye kaash maot ne faisla ker diya hota (jeem)
69:27 mera maal to mere kuch bhi kaam na aaya (jeem) 69:28 meri saltanat
bhi mujhse jati rahi (jeem) 69:29[hukum hoga ke] isko pakdo aur iske gale
mein touq dalo (laa) 69:30 phir isko jahannam mein jhonk do (laa) 69:31
phir ek aisi zanjeer mea jiska tool sattar hath ka ho ise jakad do (laa) 69:32
yehi hai jo khuda e buzurg per imaan na lata tha (laa) 69:33 aur na
miskeen k khilane per amada karta tha (toye) 69:34 so aaj na to iska yahan
koi dilsoz dost hai (laa) 69:35 aur naseeb k siwa koi aur khana (laa) 69:36
jisko gunahgaron k siwa koi aur na khaayega (ain) 69:37 pas mujhe un
[cheezon] ki bhi qasam hai jo tum dekhte ho (laa) 69:38 aur unki bhi jo
tumko nahin dekhte (laa) 69:39 yaqeenan ye izzatdaar Rasool ka qoul hai
(laa) (jeem)69:40 aur ye kisi shayar ki baat nahin hai tum log kis khaddar
kam imaan laate ho (laa) 69:41

