Page 399 - Quran-e-Kareem
P. 399
th
th
13 Sureh raad (399) 13 para
Bada saqt giraftar wala hai 13:13 ussi se dua kerna barhaq hai aur jo uske
siwa auron ko pukarte hain unko kuch bhi jawab nahin dete magar aise hi
jaise koi shaqs apne donon hath pani ki taraf phailaye k wo khud se iske
muh mein ajaye halanke wo kabhi uske muh mein aane wala nahin hai.
Aur kafiron ka dua kerna mehez bekar hai. 13:14 aur jo aasmanoun aur
zameen mein hain ba khushi wa bajabr khuda ko sajda kerte hain aur ussi
terah subah o sham unke saye [bhi].13:15 Tum kaho k aasmanoun aur
zameen ka parwardigaar koun hai. Tum kaho k Allah, tum kaho k kya
usko chord ker tumne aison ko apna wali banaaya hai jo apne aap k liye
koi nafa ka ekhtiyar rakhte hain aur naa kisi nuqsaan ka. Tum kaho k kya
andha aur ankhon wala baraber hote hain. Ya andheryan aur roshni
baraber hain. Ya unhone Allah k aise shareek muqarrar kiye hain jinhon
ne ussi ki hi maqlooq paida kerdi hai k unper maqlooq ki shinaqt
mushtaba ho gayi ho. Tum ye kehdo k Allah har cheez ka paida kerne
wala hai aur wo yekta aur zabardast hai 13:16 usne asmaan se pani utara

