Page 400 - Quran-e-Kareem
P. 400
th
th
13 Sureh raad (400) 13 para
Phir apni apni mekhdar k mawaqif nale [nadiyan] bayh nikle aur rao jhag
ko upper upper legaye aur us mein se jo zewarya maal banaane k liye
tapaya jata hai. Aisa hi jhaag nikla kerta hai. Isi terha Allah haq aur batil
ki misaal bayan kerta hai. Pas jhaag to bekar jata hai aur raha wo jo logon
ko nafa pahunchata hai wo zameen mein rehjata hai. Isi terha Allah
misalen bayan kerta hai. 13:17 un logon k liye jinhon ne parwardigaar ka
hukum mana khair o khoobi hai aur jinhon ne uska hukum na mana agar
unke paas wo sab kuch ho jo zameen mein hai aur utna hi aur bhi ho k us
sab ko fidya deden [to bhi] wo yehi hain jinke liye saqt azaab hai aur jinka
thikana jahannum hai aur wo bahut hi bura thikana hai. 13:18 kya wo
shaqs jo ye janta hai k tumhaare Rab ki taraf se jo kuch utaara gaya hai wo
barhaq hai uske manind [ho sakta] hai jo [dil ka] andha ho us baat ko to
aqalmand hee samajhte hain 13:19 jo khuda k ahad ko pura kerte hain aur
apne imaan ko

