Page 404 - Quran-e-Kareem
P. 404
13 Sureh raad (404) 13 para
th
th
Jinse Allah toufeeq e hidaayat salb kerle uske koi raah batane wala nahin
hota 13:33 unke liye zindagaani e dunya mein bhi azaab hai aur akhirat ka
azaab aur zyada saqt hai aur Allah k azaab se unko koi bachane wala
nahoga. 13:34 jis jannat ka perhezgaron se wada kiya gaya hai uske haal ye
hai k uske neeche nadiyan behti hongi, uske phal aur uske saya hameshan
rahega. Ye un logon ka anjaam hai jo perhezgar rahe aur kafiron ka
anjaam jahannum hai 13:35 aur wo log jinko humne kitaab di wo us se jo
kuch tumhaari taraf nazil kiya gaya khush hain aur grohoun mein se aise
bhi hain jo uski baaz baton se inkaar kerte hain. Tum ye kehdo k mujhe
yehi hukum diya gaya hai k main Allah ki ibaadat karoon aur kisiko uska
shareek na karoon, ussi ki taraf main bulata hoon aur ussi ki taraf meri
bazgasht hai 13:36 aur ussi terha humne usko Arabi zabaan mein fermaan
[banaker] nazil kiya hai aur agar baad uske k tumhaare paas ilm aachuka
hai, tum unki khwahishon ki pairawi karoge wo khuda k muqabele mein
phir tumhaari koi na hami hoga aur na bachane wala 13:37 aur beshak
humne tumse pehle bhi kuch Rasool bheje aur unke liye azwaaj bhi
muqarrar ki thi.

