Page 433 - Quran-e-Kareem
P. 433
16 Sureh Nehl (433) 14 para
th
th
Kya wo isse mutmain ho gaye hein k khuda unko zameen mein dhasade
aur azaab unper is terha aaye k wo kuch na samjhen 16:45 ya unki amad
daraft mein unko giraftar kerle k wo khuda ko aajiz nahin ker sakte. 16:46
ya unko dar ki haalat mein dar pakde {achaanak pakde} , beshak tumhaara
parwardigaar bada nermi k saath muaamla kerne wala [aur] bada rehem
kerne wala hai 16:47 kya unhone aisi cheezoun ki taraf nahin khayal kiya
jinko Allah ne paida kiya hai k unke saya daayen se aur bayen se khuda k
waste sajde mein [bade] hain aur wo [ussi ke] mute o munqaad hain. 16:48
aur jo harrakat kerne wale aasmanoun mein hain aur jo zameen mein hain
Allah hi ko sajda kerte hain aur wo farishte bhi jinka koi moiyyan maqam
nahin hai aur ye sab takabbur nahin kerte 16:49 apne parwardigaar se jo
unse berter hai derte hain aur jo hukm e khuda unko diya jata hai wohi
baja late hain 16:50 aur Allah ne ye fermaya k do khuda na banao siwaaye
uske nahin hai k wo mabood e ekta hai, pas mujhi se daro 16:51 aur
asmanoun mein aur zameen mein jo kuch hai ussi ka hai aur wajib

