Page 487 - Quran-e-Kareem
P. 487
19 Sureh Maryam (487) 16 para
th
th
Budhaape ki inteha ko pahunch gaya hoon 19:8 Fermaya aisa hi hoga
tumhaara parwardigaar fermata hai k wo mere liye asaan hai aur main
tumko paida ker chukka hoon halanke tum koi cheez na they 19:9 Arz ki
aye mere parwardigaar mere liye koi alaamat qaraar de. Fermaya k
tumhaare liye alaamat ye hai k tum logon se bawajood sahi aur salim
honeke teen raat [din] baat na ker sakoge 19:10 Pas [zakariya a.s.] mehrab
[ibadat] se nikalker apni qoum k paas aaye aur ishaare se unse kaha k tum
subah o sham uski tasbeeh padho 19:11 [humne hukum diya k] aye yahya
a.s. kitaab [tourait] ko mazbooti se liye rehna (toye) aur humne unko
bachpan hi mein faisle ki quwwat aur apni taraf se meherbani 19:12 aur
paak batani ataa ki (toye) Aur wo parhezgar (laa)19:13 aur apne ma baap k
haq mein neki kerne waale they aur saqtgeer [wa] nafermaan na the 19:14
Aur unper salaamti hai usdin [bhi] jisdin paida kiye gaye aur us din bhi jis
din marenge aur usdin bhi jisdin zinda kerke uthae jaayenge 19:15 aur us
kitaab mein meryam s.a. ka [kissa] bayan karo jabke wo apne kunbe walon
se alag hokar janib e sharq{mashriq ki jaanib} ek makaan mein chali gaeen
(laa)19:16 Aur unse ek aadh pas humne unki taraf apni ruh [jibraeel] ko
bheja

