Page 491 - Quran-e-Kareem
P. 491
19 Sureh Maryam (491) 16 para
th
th
Mujhe yaqeenan wo ilm mila hai jo aapko nahin mila pas aap meri pairawi
kijiye. Main apko theek rasta batlaoonga 19:43 Chachajaan shaitan k bande
na baniye (toye) beshak shaitan khuda ka nafermaan [banda] hai 19:44
Chachajaan mujhe ye andesha hai k apko khuda ki taraf se azaab
pahunchega phir aap shaitan k saathi banjaaye 19:45 [aazar] bola k aye
Ibraheem a.s. kya tu mere khudaon se bergashta hai (jeem) agar tu baaz na
aaya to main zaroor tujhe sangsaar kerdoonga aur ek arse keliye mujhse
juda hoja 19:46 Fermaya [lo chala] tumper mera salaam (jeem) ankhareeb
main tumhaare liye apne parwardigaar se gunahon ki bakhshish
mangoonga (toye) beshak wo mujhper had se zyada meherbaan hai 19:47
Main tum per aur jin jin ko tum khuda k siwa pukarte ho unse alag hota
hoon aur apne parwardigaar se dua karoonga, umeed hai k main apne
parwardigaar se dua kerne k sabab nakaam na rahoonga 19:48 Pas jiswaqt
unse aur un cheezon se jinki wo khuda k siwa ibaadat kiya kerte the alag
ho gaye to humne unko is-haq a.s. aur yaqoob a.s. ata kiye (toye) aur har
ek ko humne nabi qaraar diya 19:49 Aur un sab ko humne apni rehmat se
hissa diya aur humne un sab k liye

