Page 489 - Quran-e-Kareem
P. 489

19   Sureh Maryam                   (489)                       16   para
                                                                                          th
                         th

               Ankhen thandi karo (jeem) phir agar koi admi nazar padhjae to usee se


               [ishare se] kehdena k maine khuda k liye [khamosh rehne ka] sunnati roza

               rakha hai lehaaza main aaj kisi insaan se hargiz baat na karoongi (jeem)


               19:26 Pass [maryam s.a.] uss bachhe ko liye hue apne logon k paas aae

               (toye) Wo bole k aye meryam s.a. ye to tum na maozu cheez laaye 19:27


               aye muqaddas aurat na tera baap bura admi tha na teri ma badkar thi


               (jeem)19:28 Pas (maryam s.a ne) us [bachhe] ki taraf ishara ker diya (toye)

               wo bole k hum uss se guftagu karenge jo gehwaare ka bachha hai 19:29


               Wo [bachha ba qudrat e khuda] goya hua k main Allah ka banda hoon

               usne mujhe kitaab ataa fermaayi hai aur mujhe nabi banaaya hai (laa)19:30


               Aur jahan kaheen mein hoon mujhe barakkat wala muqarrar kiya hai (laa)


               aur jab tak mea zinda rahun mujhey namaaz adaa karne ka aur zakat o

               fitraah dene ka hukum diya hai (laa)19:31 aur mujhe meri walda ka mutee


               banaaya hai aur mujhe saqtgeer [aur] bad bakht nahin banaaya hai 19:32


               Aur khaas salaamti mujhper us din bhi hai jis din paida kiya gaya aur us

               din bhi hogi jis din maroonga aur us din bhi jis din zinda kerke uthaya


               jaayega 19:33 yehi hain Isa ibn meryam a.s. sachi baat [itni hi hai] jiske


               baare mein ye log jhidakte hain 19:34
   484   485   486   487   488   489   490   491   492   493   494