Page 509 - Quran-e-Kareem
P. 509

20   Sureh Taha                     (509)                       16   para
                                                                                          th
                         th

               Aur ainda se waqif hai aur ye uske ilm ka ehata nahin kersakte. 20:110 aur


               us hameshan qaim rehne wale zinda k samne sab k sab jhuk gaye aur jo

               zulm k baar se lada hua aaya wo yaqeenan nakaam ho gaya 20:111 aur jo


               shaqs momin hone ki halat mein neki karega to usko kisi kamii aur

               nuqsaan ka andesha nahin hai 20:112 aur isi terha humne ise arabi zabaan


               ka Quraan utaara hai usmein baar baar qhouf dilaaya hai taake wo baaz


               rahe ya ye unke liye naseehat taaza kare 20:113 pas khuda badshah e

               barhaq bartar hai aur tum Quraan k padhne mein khabl iske k us ayat ki


               wahi poori ho chuki ho jaldi na kiya karo aur ye kaha karo k aye mere

               parwardigaar mera ilm badhade 20:114 aur Adam a.s. ko humne pehle hi


               ek hukum diya tha pas wo ussko bhool gaye aur humne unmein pokhtagi


               na pai 20:115 aur [ us waqt ko yaad karo] jab humne kul farishtoun se

               kaha tha k tum adam .a.s. ko sajda karo pas siwaaye iblees k sabne sajda


               kiya wo munkir raha 20:116(toye) pas humne kehdiya k aye Adam a.s. ye


               tumhaari aur tumhaare zawja ka yaqeeni dushman hai aisa na ho ka ye

               tum donon ko jannat se
   504   505   506   507   508   509   510   511   512   513   514