Page 511 - Quran-e-Kareem
P. 511
20 Sureh Taha (511) 16 para
th
th
Aise hi to tune kiya tha yaani jab hamare nishaniyan tere paas aai thi
(jeem) to tune unko bhuladiya aur ajke din ussi terha tu bhi ussi haalat
mein chordiya jaayega 20:126 aur jo shaqs zyadati karega aur apne
parwardigaar k ehkaam per imaan na laaye usko hum ussi terha saza diya
kerte hain aur akhirat k azaab zyada saqt aur zyada paedar hai. 20:127 kya
isne unko bata nahin diya k inse pehle kitne zamane [wale] halak kerdiye
jinke gharon mein ye chalte phirte hain beshak samajhdaron k liye isi
mein nishaniyan (maojood) hain 20:128 aur agar tumhaare parwardigaar ki
taraf se ek baat ki pehel aur ek waqt ka tayyun na ho chukka hota to
azaab zaroor aata. (toye)20:129 pas ab ye jo kuch kahen ise bardasht kerlo
aur suraj nikalne se pehle aur uske doobne se pehle apne parwardigaar k
hamd ki tasbeeh padha karo aur raat ki ghadiyon mein aur din k auqaat
mein uski paaki bayan kiya karo taake tum khush raho 20:130 aur
zindagaani dunya ki jin jin cheezon se humne kufaar k muqtalif grohon ko
is gharaz se nafah pahunchaya hai k hum unki

