Page 506 - Quran-e-Kareem
P. 506
20 Sureh Taha (506) 16 para
th
th
Kuch bohhot arsa guzar gaya tha ya tumne chaha k tumper tumhaare
parwardigaar ki taraf se ghazab naazil ho k tumne mere waade k khilaf
kiya 20:86 wo bole k humne apne ekhtiyar se to aapke wada k khilaf nahin
kiya balke [waqya yun pesh aaya ke] qoum e firaoun k zewarroun k kai
bojh humper laade gaye the jinko humne laakar aag mein dal diya aur aisa
hi samri ne [bhi] kiya (laa)20:87 phir uss ne [unhee pighle hue
zewarroun] se sabke dekhte dekhte ek bachda bana diya yaani ek jasad tha
jismein gaaye ki si awaaz thi pas baaz logon ne keh diya k ye tumhaara bhi
mabood hai aur Musa a.s. ka bhi mabood hai. Pas Musa a.s. bhoolker [toor
per chale] gaye hain. (toye)20:88 bhala wo ye na samjhe k wo bachda unki
kisi baat ka jawab nahin desakta tha aur na unke zarrar ka ekhtiyar rakhta
tha aur na nafah ka 20:89 aur haroon ne unse pehle hi kehdiya tha k
tumhaari qoum tumhaari is bachde k zariye se azmaish ki gai hai (jeem)
Aur beshak tumhaara parwardigaar rehmaan hai pas tum meri pairawi
karo aur mere hukum ko mano. 20:90 (jawab mein) unhone kaha tha k
abto hum isi ki ibaadat karenge jabtak Musa a.s. hamaare paas palat ker na
aaen 20:91 [Musa a.s. ne] kaha aye [bhai] haroon a.s. jab tumne inko
behekte dekha tha to tumko kya cheez maaney thi k tumne meri pairawi
na ki 20:92(laa) kya tumne meri

