Page 540 - Quran-e-Kareem
P. 540
22 Sureh al-hajj (540) 17 para
th
nd
pus unkey dil uskey liye naram hojain (toye) aur zaroor Allah unlogon ko
jo imaan laaye hain sirat-e-mustakheem tak pohonchaney wala hai 22:54
aur jo log kafir hochukey hain wo tu baraber uski taraf se shak mein
rahengey yahankak k qayamat unko yakayak aalegi ya anokhey din ka
azaab unper ajayega 22:55 ikhtiyaar ussdin khuda hi ko hoga (toye) wohi
unn k maabein faisla karega (toye) ab jo imaan laaye aur jinhoney naik
amal kiye wo tu naimat wali jannaton mein hongey 22:56 aur jinhoney
kufr kia aur hamaari aayatoun ko jhutlaya pus unhee k liye zaleel kerney
wala azaab hoga 22:57 (hamza) aur jinhoney rah-e-khuda mein hijrat ki
phir qatal kerdiye gaye ya mergaye zaroor Allah ta’ala unko bohhot hi rizq
ataa fermayega (toye) aur beshak Allah sab se acha rizq ataa kerney wala
hai 22:58 zaroor unko aesey muqaam mein pohonchadega jisko wo pasand
karengey (toye) aur beshak Allah bara janney wala (aur) burdbaar hai
22:59 ye (tu hoga) aur jo itni takleef pohonchaaye jitni takleef khudh usko
pohonchayi gayi ho

