Page 542 - Quran-e-Kareem
P. 542
22 Sureh al-hajj (542) 17 para
th
nd
zaroor khuda ta’ala logon per bara meherbani kerney wala (aur) reham
kerney wala hai 22:65 aur wo wahi hai jisney tumko zinda kia (zae) phir
wo tumko maut dega phir wo tumko zinda karega (toye) beshak insaan
bara nashukra hai 22:66 her umat k liye humney ek tareeqa (bandagi)
muqarrar kia hai jisper wo chalney waaley hain pus chaiye k wo tumsey
amr deen mein na jhagrein aur tum apney rab ki taraf bulaaye chaley jao
yaqeenan tum hidaayat mustaqeem per ho 22:67 aur ager wo tumsey
jhagra hi Karen tu kehdo k jo amal tum kertey ho Allah ussey khoob waqif
hai 22:68 qayamat k din Allah tumhaarey maabein un mamlaat mein faisla
fermayega jinmein tum ikhtelaaf kia kertey they 22:69 kia tum ye nahi
jaantey k aasman mein aur zameen mein jo kuch hai Allah usey jaanta hai
beshak ye sab ek noshtey mein hai (toye) beshak ye Allah per asaan hai
22:70 aur wo Allah ko chordh ker us cheez ko poojhtey hain jiskey barey
mein khuda ney koi daleel naazil nahi ki aur jiskey barey mein unko koi
ilm nahi hai (toye) aur zaalimoun ka koi (bhi) madadgaar na hoga 22:71
aur jiswaqt unkey samney

